Wednesday 7 September 2011

bikhar gaya insaan

na choot saka woh daag jism ka
jo har din mene jiya hai
na toot saka woh hausla man ka
jo har din tumne toda hai
na beet saka woh pal gam ka
jo aasuo mein baha hai
na bhul saki woh din
mar mar ke jo mene jiya hai

ek choti se farmaish thi
ek saair ki umeed
guzar rahi thi har roz us gali se
jaha tumne kiya basera tha
khoon ke cheete ab bhi milte hai
jaha mere armano ne apni aakri saas li
woh kya dushmani thi bhaiya
jiske karan tumne meri khushi li?

raat ka andhara ab apna lagta hai
saware se daarti hu
kadam jab bahar rakhu
nighao se bachti hu
chehra mera khobsoorat tha
aaj mein dupette ka sahara leti hu
jab dil mein farmish jagti hai
us din ke yaad mein jeeti hu

ek pal mein beet gayi zindagi
lakho laashe mein ek meri bhi ho sakti thi
tuti nahi hu, bas bikhar gayi hu
sahara nahi, pyar dhundti hu
kya karu apne aap ko sambhal kar
jab har kone mein maut ho

din din laash gir rahi hai
haan bahut aabadi hai!
har maut mein hazaro sapne
kya yeh nahi barbadi hai?
kaun hai aisa bhagwan ya allah ya guru
jisne kaha kurban karo?
janat dundte hai jo
phele ek acha insaan bano

No comments: